Na Ye Chemistry Hoti , Na Mein Student Hota
Na Ye Lab. Hoti Na Ye Accident Hota
Abhi Practical Mein Aaye Nazar Ek Ladki
Sundar Thi Naak Uski Test Tube Jaisi
Baaton Mein Uski Glucose Ki Mithas Thi
Sanson Mein Ester Ki Khushbu Bhi Sath Thi
Aankhon Se Jhalakta Tha Kuch Is Tarah Ka Pyaar
Bin Piye Hi Ho Jata Tha Alcohol Ka Khumar
Benzene Sa Hota Tha Uski Presence Ka Ehsas
Andhere Mein Hota Tha Radium Ka Abhas
Nazrein Milleen, Reaction Hua
Kuch Is Tarah Love Ka Production Hua
Lagne Lage Us Ke Ghar Ke Chakkar Aise
Nucleus Ke Charon Taraf Electron Hon Jaise
Us Din Hamare Test Ka Confirmation Hua
Jab Uske Daddy Se Hamara Introduction Hua
Sun Kar Hamari Baat Woh Aise Uchal Pade
Ignition Tube Mein Jaise Sodium Bhadak Uthe
Woh Bole, Hosh Mein Aao, Pahchano Apni Auqat
Iron Mil Nahin Sakta Kabhi Gold Ke Sath
Ye Sun Kar Tuta Hamare Armanon Bhara Beaker
Aur Hum Chup Rahe Benzaldehyde Ka Kadwa Ghoont Pi Kar
Ab Us Ki Yaadon Ke Siwa Hamara Kam Chalta Na Tha
Aur Lab Mein Hamare Dil Ke Siva Kuch Aur Jalta Na Tha
Zindagi Ho Gayee Unsaturated Hydrocarbon Ki Tarah
Aur Hum Phirte Hain Awara Hydrogen Ki Tarhan
This entry was posted
on 1:53 PM
and is filed under
Chemistry,
Love
.
You can leave a response
and follow any responses to this entry through the
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
.